har shab KHayal-e-ghair ke mare alag-thalag

har shab khayal-e-ghair ke mare alag-thalag
aate hain khwab mein wo hamare alag-thalag

gar ghair sath saye ke surat na tha to kyun
misl-e-saba chaman se sidhaare alag-thalag

bulbul wo hun ki fasl ke pahle hi baghban
leta hai bagh jis ka ijare alag-thalag

dam-e-bala mein phanste hain aap aa ke saikdon
wo but hazar baal sanware alag-thalag

ai gul tujhe kisi ki na mutlaq khabar hui
ghunche chatak chatak ke pukare alag-thalag

khalwat mein bhi jo aae hain jalwat ka zikr kya
baithe hue hain sharm ke mare alag-thalag

pesh-e-nazar shabih-e-khayali hai apni 'shad'
naqshe jame hue hain hamare alag-thalag


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close