har shajar ke tain hota hai samar se paiwand aah ko kyun nahin hota hai asar se paiwand dekhna zor hi gantha hai dil-e-yar se dil sang-o-shishe ko kiya hai main hunar se paiwand mizha-e-khun-e-dil aaluda pa ye hai qatra-e-ashk yun hai jyun shakh ho marjaan ki guhar se paiwand mil raha hai tere aariz se khat-e-murcha ye jaise aaine ke jauhar ho jigar se paiwand sozish-e-ashk se malum ye hota hai mujhe qatra-e-ab bhi hota hai sharar se paiwand than zarbaft ke hote the jahan qata 'huzur' jin ki poshak sada hoti thi zar se paiwand ab phata jama gazi ka nahin gar hai bhi koi tu nikale ko nikalta nahin ghar se paiwand