har taraf iztirab hai yaro waqt kitna kharab hai yaro ek ek pal mein karb se kitna lamha lamha azab hai yaro har taraf tod-phod ki sazish ye bhi ek inqalab hai yaro aaj inton ki sar-kashi ke liye pattharon ka jawab hai yaro rahbar-e-waqt waqt ke rahzan kya ajab intikhab hai yaro jina dushwar zindagi mushkil ek tarah ka itab hai yaro gham ki tahrir kah rahi hai 'nawaz' chehra chehra kitab hai yaro