har taraf tazkira-e-jurm-o-saza hota hai

har taraf tazkira-e-jurm-o-saza hota hai
aaj hum samjhe ki banda bhi khuda hota hai

jaise rahte hon kisi shakhs ki jagir mein hum
dil mein rah rah ke ye ehsas sa kya hota hai

ham-nashin ghaur na kar baat ko mahsus to kar
is chhati his mein koi khatra chhupa hota hai

apne ehsas mein ai waiz-e-taslim-o-raza
rind paimana-ba-kaf ho to khuda hota hai

kitna pyara hai wo 'nuri' mera waqti dushman
meri be-rah-rawi par jo khafa hota hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close