har tarah yun hai dun hai be-mani ishq bhi ek junun hai be-mani mil gaya muzhda-e-bahaar mujhe kya ye haijaan-e-khun hai be-mani sun raha hun ki wo nahin sunte sharh-e-haal-e-zabun hai be-mani wada-e-hashr ka bharosa kya han hai be-kar hun hai be-mani gham ki pur-iztirar rahon mein justuju-e-sukun hai be-mani husn ki ek ek baat fusun ishq ka har fusun hai be-mani jaise us ka wajud kuchh bhi na ho sarguzisht apni yun hai be-mani jalwa-e-rukh hai un ka ba-matlab apna soz-e-darun hai be-mani shauq ka takmila nahin hota zauq-e-duniya-e-dun hai be-mani jis se wahshat ko khud na wahshat ho is tarah ka junun hai be-mani gham ne bijli bana diya dil ko imtihan-e-sukun hai be-mani wo ye kah kar kabhi nahin sunte haal-e-soz-e-darun hai be-mani chashm-e-bad-dur un ki aaankhon mein samri ka fusun hai be-mani ishq-e-nakaam-e-husn ka qissa kya kahun kya sunun hai be-mani 'nuh' tufan-e-bahr-e-ulfat mein fikr-e-zabt-o-sukun hai be-mani