har wafa na-ashna se bhi wafa karna padi dil se dushman ke liye aksar dua karna padi main hua ruswa to mera gham bhi ruswa ho gaya zindagi ki kis qadar qimat ada karna padi ai nigah-e-mohtasib jo chahe tu kah le mujhe jite-ji is dil ke hathon har khata karna padi hai fareb-e-dil bhi shayad wajh-e-takmil-e-wafa aarzu-e-dil bhi ham-rang-e-hina karna padi zist ki khuddariyon par harf lane ke liye doston ko bhi karam ki intiha karna padi ahl-e-dil ne hi bharam rakkha ghurur-e-husn ka warna tum bhi kah uthe the ab dua karna padi be-nigah-e-lutf-e-saqi kaam kuchh banta nahin husn-e-be-parwa se 'hamid' iltija karna padi