harf se tasir lafzon se mani le gaya jate jate wo meri jadu-bayani le gaya us se thin mansub jo yaaden suhani le gaya chhin kar mujh se sabhi apni nishani le gaya shah-rah-e-zist par mujh ko akela chhod kar jaane wala mujh se lutf-e-zindagani le gaya mez par nanha sa ek kaghaz ka tukda chhod kar zindagi ki har khushi wo na-gahani le gaya hum udhar masruf the aur waqt ka sail-e-rawan kya pata kab chhin kar hum se jawani le gaya muddaton se sakit-o-jamid hai ye nayab dil kaun is dariya ki maujon ki rawani le gaya