harf shirin hain magar lahja hai nashtar jaisa waza phulon si hai kirdar hai patthar jaisa jis pe thahri hai nazar meri badi mushkil se kash andar se bhi wo shakhs ho bahar jaisa ruh mein ho chuka tahlil mera har unsur jism kya hai faqat ek zahiri paikar jaisa narm aisa hai ki milte hi pighal jata hai aur chhu lije to ho jae hai patthar jaisa tujh mein nadiyon ki tarah maujen na hongi ek din main bhi ho jaunga khamosh samundar jaisa lakh jhuta sahi mabud to ban jata hai jis ki taqdir mein fankar ho aazar jaisa shor nadiyon ki tarah wo kabhi karte hi nahin hausla rakhte hain jo log samundar jaisa waqt ka koi khuda us ko jhuka sakta nahin khun mein jis ke ho jauhar koi jauhar jaisa