hargiz mera wahshi na hua ram kisi ka wo subh ko hai yar mera sham kisi ka is hasti-e-mauhum mein hargiz na khuli chashm malum kisi ko nahin anjam kisi ka itna koi kah de ki mera yar kahan hai billah main lene ka nahin nam kisi ka hone de mera chaak gareban mere naseh nikle mere hathon se bhala kaam kisi ka nahaq ko 'fughan' ke tain tashhir kiya hai duniya mein na howe koi badnam kisi ka