harif-e-dastan karna pada hai zamin ko aasman karna pada hai nikal kar aa gae hain jangalon mein makan ko la-makan karna pada hai sawa neze pe suraj aa gaya tha lahu ko saeban karna pada hai bahut tarik thin hasti ki rahen badan ko kahkashan karna pada hai kise malum lams un ungliyon ka hawa ko raaz-dan karna pada hai wo shayad koi sachchi baat kah de use phir bad-guman karna pada hai main apne sare patte fash karta magar aisa kahan karna pada hai safar aasan nahin haraf o qalam ka hamein tai haft-khwan karna pada hai tha jis se ikhtilaf-e-rae mumkin usi ko mehrban karna pada hai saf-e-ada mein apne bazuon ko mujhe 'akhtar' kaman karna pada hai