harif-e-sang hun mitti se pyar karta hun lahu se apne gulabon mein rang bharta hun qadam qadam pe tera intizar karta hun main zindagi ke tajassus mein roz marta hun badan ke zakhm sadaqat pe meri hanste hain jab aaine ke takhatub se main guzarta hun mere wajud se qaem hai kaenat magar mita ke khud ko tujhe ba-waqar karta hun na zauq-e-sahra-nawardi na azm-e-ham-safari ajib log hain jis shahr se guzarta hun fasad-e-shahr ne parda utha diya 'nashtar' main rahzanon se kahan rahbaron se darta hun