harim-e-naz se aata hai bahra-war koi dil aaina pe liye naqsh-e-fi-hajar koi hisar-e-dard ki unchai badhti jati hai khushi ki aandhiyan aa kar banaen dar koi pada hai yaadon ke hujre mein qufl muddat se hanuz deta hai dastak si mo'atabar koi chamakti rah to nazron se hai abhi ojhal charagh-e-charkh ki milti nahin khabar koi ye sham dale hue tan pe surmai chadar gila karegi siyah-shab se mukhtasar koi tamam khwahishen khashak mein huin tabdil ghadi mein shoala na kar de kahin sharar koi teri zaban se lipti hai chashni-e-hawas kahan se aae teri baat mein 'asar' koi