harim-e-shah mein dekhi na khanqah mein hai jo shan-e-banda-nawazi teri nigah mein hai nigah jab se tere husn ki panah mein hai har ek maqam-e-mohabbat meri nigah mein hai ye but-kade ye haram jis ki jalwa-gah mein hai wo mere sath azal se junun ki rah mein hai ye un ka dar hai yahan sar utha ke kaun chale yahan pe sar hi nahin dil bhi sajda-gah mein hai meri jabin ki taraf jhuk rahe hain kaun-o-makan ye kis ka naqsh-e-qadam aaj sajda-gah mein hai tere karam ne jo rutba ata kiya hai mujhe ye martaba na gada mein na baadshah mein hai na aaya hosh use jis pe pad gai ek bar ye kaisi masti na jaane teri nigah mein hai tere itab se ye raaz khul gaya hai sanam tera karam bhi yahan parda-e-gunah mein hai tere jamal ka sadqa hai ai mere jaanan ye raushni bhi abhi tak jo mehr-o-mah mein hai gunahgar-e-mohabbat pe ye ata teri tere karam ki tajalli mere gunah mein hai bata rahi hai 'fana' shan-e-be-niyazana ada-e-ishq bhi kuchh husn-e-kaj-kulah mein hai