hasb-e-farman-e-amir-e-qafila chalte rahe

hasb-e-farman-e-amir-e-qafila chalte rahe
pa-ba-jaulan dida-o-lab-dokhta chalte rahe

be-basirat manzilen gard-e-safar hoti rahin
aur hum be-maqsad-o-be-muddaa chalte rahe

fasl-e-gul ki chap thi is tab-e-nazuk par giran
tha safar khushbu ka ghunche be-sada chalte rahe

kajali raaton mein suraj ke hawale so gae
iqtibas apne lahu se le liya chalte rahe

su-e-manzil pith thi aawargi jari rahi
fasla har gam par badhta raha chalte rahe

jab ye dekha pairahan ka tar tak baqi nahin
kar ke zeb-e-jism zakhmon ki qaba chalte rahe

aap kya hum khud bhi sun pae na dil ki dhadkanen
apne sine par qadam rakh kar sada chalte rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close