hashr par wada-e-didar hai kis ka tera lakh inkar ek iqrar hai kis ka tera na dawa se use matlab na shifa se sarokar aise aaram mein bimar hai kis ka tera lakh parde mein nihan shakl hai kis ki teri jalwa har shai se numudar hai kis ka tera aur pamal-e-sitam kaun hai tu hai 'bekhud' us sitamgar se sarokar hai kis ka tera