hasin hai to rahe subh teri par nahin kar main shab-parast hun mujh par abhi sahar nahin kar jo rah main ne chuni hai kahin nahin jati umid-e-naz mujhe apna ham-safar nahin kar tamash-bin mere hone ke munharif ho jaen ab is qadar bhi kahani ko mukhtasar nahin kar tu chandni ke tarannum se khilne wala badan main be-charagh thikana hun mujh ko ghar nahin kar abhi guman kai marhalon se guzrega ai baddua-e-tazabzub-dilan asar nahin kar ye badhte sae shikari hain mere suraj ke khudaya sham ab itni bhi mo'atabar nahin kar dariche hain koi aankhen khudai duniya ki inhin se ho ke guzar aur koi dar nahin kar