hasin taj ki surat ye be-sada patthar dikha rahe hain mohabbat ka moajiza patthar subut-e-sang-dili is se badh ke kya hoga jo phul phenka meri samt ban gaya patthar tumhaare shahr ko main kyun na kaamrup kahun ki ek nigah ne mujh ko bana diya patthar samajh sake na kabhi maslahat zamane ki bas is qusur pe khae hain barha patthar karenge ab na gila tum se bewafai ka lo aaj hum ne kaleje pe rakh liya patthar suna rahe hain kahani wafa-paraston ki saje hue hain jo maqtal mein ja-ba-ja patthar