hasrat ai jaan shab-e-judai hai

hasrat ai jaan shab-e-judai hai
muzhda ai dil ki maut aai hai

tujh se maghrur ki jhuki gardan
phir bhi ek shan-e-kibriyai hai

us ne talwar ko sambhaala hai
dekhiye kis ki maut aai hai

phir gaya jab se wo sanam ba-khuda
hum se bargashta ek khudai hai

baat sidhi bhi wo nahin karta
kaj-adai se kaj-adai hai

aap ko jaanta hai aaina
saf ye us ki khud-numai hai

tum mere kaj-kulah ko dekho
ye bhala kis mein mirzai hai

dil mein aata hai rah-e-chashm se wo
khub ye rah-e-ashnai hai

male hasrat se hath dekh ke hur
ai pari teri wo kalai hai

shana us ka hai panja-e-khurshid
wah kya panja-e-hinai hai

zahido qudrat-e-khuda dekho
but ko bhi dawa-e-khudai hai

hath pahuncha na pa-e-qatil tak
taleon ki ye na-rasai hai

kabe jaane se mana karte hain
kya buton ke hi ghar khudai hai

husn ne mulk-e-dil kiya taraj
hazrat-e-ishq ki duhai hai

munh hai 'goya' ka us ka bosa le
baat dushman ne ye banai hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close