hasraten betab dil nashad hai har tamanna mail-e-fariyaad hai zindagi sar-ta-ba-pa barbaad hai mukhtasar si ishq ki rudad hai ku-e-jaanan ki fazaen kya kahun har taraf khuld-e-barin aabaad hai aap ke zulm-o-sitam ke sath sath aap ka husn-e-karam bhi yaad hai hoshiyar ai tairan-e-gulsitan baghban ke bhes mein sayyaad hai ham-nashin har kaj-samaat ke liye zamzama bhi surat-e-fariyaad hai mai-kada 'ghamgin' jab tak hai jawan mera dil har fikr se aazad hai