hath aa gaya hai jab se shuur-e-khudi ka sanp sine pe lotta hai gham-e-zindagi ka sanp apne badan se khol ana ka utar kar phunkarta hai sham-o-sahar aagahi ka sanp main khelta hun us se magar jaanta hun ye ek din mujhe dasega nai raushni ka sanp kyun man ka mor pankh na apne samet le aangan mein khelta hai gham-e-ashiqi ka sanp mauj-e-sarab ka bhi pata dur tak nahin shiddat se das raha hai mujhe tishnagi ka sanp tahzib ka khandar hai nigahon ke samne wo rengta hai dekhiye ek khamushi ka sanp kyun nilkanth ban ke na pi jaun us ko main jo zahr ugal raha hai gham-e-agahi ka sanp