hath ki jumbish se mai chhalki paimane badnam hue khud pi pi kar duniya bahki maikhane badnam hue kucha-e-ulfat mein jo aaya kho ke numud-o-nam gaya diwane diwane thahre farzane badnam hue hosh-o-khirad ke charchon mein likkhe ka bharam bhi qaem tha dida-o-dil ki baaton mein ab afsane badnam hue shab bite jab sham-e-farozan ki zau-kari khatm hui khak ke dhabbon se shishe par parwane badnam hue kuchh har bad-zan kuchh wo bad-zan doshi ab kis ko thahraen ulti-sidhi baat ki pach par yarane badnam hue baadiya-gardi aabla-pai qismat thi diwanon ki kis bais ai wahshat-e-dil phir virane badnam hue daur nashili aankhon ka to roke se bhi ruk na saka lekin chashm-e-kaif-agin ke mastane badnam hue