hath rakhta nahin zindan bhi aa jae agar

hath rakhta nahin zindan bhi aa jae agar
chor ke samne quran bhi aa jae agar

tajraba ho chuka insan se nimatne ka mujhe
ab to dil mein koi haiwan bhi aa jae agar

khushbuen qaid nahin hongi kisi bartan mein
ped ki shakh pe gul-dan bhi aa jae agar

kashtiyon walon ko tairaki ka fan aata hai
raste mein kahin tufan bhi aa jae agar

ped ko farq nahin padta kisi patthar se
kya karega tera diwan bhi aa jae agar

teri yaaden bhi tere sath mere dil mein ruken
ek hi dabbe mein saman bhi aa jae agar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close