hausla bhale na do udan ka tazkira to chhod do thakan ka int ugti dekh apne khet mein ro pada hai aaj dil kisan ka kapde aur rotiyan milin magar masala abhi bhi hai makan ka mujh mein koi hire hain jade hue sab kamal hai tere bakhan ka ek nadi ke do kinaron aisa hai fasla hamare darmiyan ka chahta hun main hi qissa-go banun dard ki tawil dastan ka shab hamara chand chhat pe aaya to rang ud gaya tha aasman ka main charagh se jala charagh hun raushni hai pesha khandan ka kar gaya khamosh mujh ko der tak chikhna wo ek be-zaban ka