hausle mayus zauq-e-justuju nakaam hai ye dil-e-na-mahram-e-anjam ka anjam hai aankh kya hai husn ki ranginiyon ka aaina dil hai kya khun-e-tamanna ka chhalakta jam hai dijiye bimar-e-ulfat ki jigar-dari ki dad naza ka aalam hai honton par tumhaara nam hai phir wo yaad aae hui madhosh dil ki kaenat phir utha dard-e-jigar phir kuchh mujhe aaram hai khak-dan-e-dahr mein taskin ka juya na ho aah jab tak dil dhadakta hai kahan aaram hai wo to dil mein dard ki duniya basa kar chal diye mujh ko har tar-e-nafas ek maut ka paigham hai wasil-e-mizrab-e-khamoshi hai har tar-e-nafas us se kah do ab tere bimar ko aaram hai kar raha hun doston ke zoam par tark-e-watan shayad ab aaghaz-e-daur-e-gardish-e-ayyam hai