hawa badan mein kisi yaad ki chali jab bhi mujhe laga mujhe chhu kar guzar gaya hai koi main ek barg tha aur ped se jhada hua tha yahan wahan ki hawa mujh ko le ke udti phiri gae huon ne palat kar kabhi nahin dekha ye jaante hue bhi dil ne zid nahin chhodi idhar udhar ki suni to khayal batne laga zara sa shor thama to faza badalne lagi ajib haalat-e-dil hai ki kuchh khabar hi nahin main dil-girafta nahin hun to kyon ye habs-e-dami