hawa chali hai na patta koi hila ab tak wahi hai ek khamoshi ka silsila ab tak wo kaun log hain kis ki talash mein gum hain hamein to apna pata bhi nahin mila ab tak tu apne chahne walon se aashna na hui yahi to tujh se hai ai zist ek gila ab tak kisi ka daman-e-sad-chaak kya rafu karte ki hum se apna bhi daman nahin sila ab tak wahi safar wahi tare wahi thakan baqi wahi hai bujhte charaghon ka silsila ab tak purani baat main kal ki samajh ke bhul gaya magar hai zakhm tamanna-e-dil khula ab tak jise main dhund raha hun gali gali 'anjum' wo shakhs mujh se bichhad kar nahin mila ab tak