hawa-e-fasl-e-gul ke sath barq-e-'shoala'-bar aai nasheman mein lagi hai aag gulshan mein bahaar aai gulon par tazgi aai na baad-e-itr-e-bar aai jahan-e-rang-o-bu mein nam ko fasl-e-bahaar aai khila ghuncha na dil ka garche gulshan mein bahaar aai hawa-e-mausam-e-gul bhi na us ko sazgar aai gulon par aisi ghaflat thi na chaunke sahn-e-gulshan mein jagane ke liye fariyaad-e-bulbul go hazar aai sabab us ke siwa kuchh bhi nahin aansu bahane ka ki shabnam be-sabaati-e-jahan pur-ashk-bar aai sata kar shad hote hain ye fitrat hai hasinon ki jo rone par mere un ko hansi be-ikhtiyar aai faza-e-sahn-e-gulshan bhi na thi khali kudurat se nasim-e-subh bhi aaluda-e-gard-o-ghubar aai nafas ki aamad-o-shud ka bharosa kuchh nahin 'shoala' payam-e-maut le kar khud hayat-e-mustaar aai