hawa-e-shab bhi hai ambar-afshan uruj bhi hai mah-e-mubin ka nisar hone ki do ijazat mahal nahin hai nahin nahin ka agar ho zauq-e-sujud paida sitara ho auj par jabin ka nishan-e-sajda zamin par ho to fakhr hai wo rukh-e-zamin ka saba bhi us gul ke pas aai to mere dil ko hua ye khatka koi shagufa na ye khilae payam lai na ho kahin ka na mehr o mah par meri nazar hai na lala-o-gul ki kuchh khabar hai farogh-e-dil ke liye hai kafi tasawwur us ru-e-atishin ka na ilm-e-fitrat mein tum ho mahir na zauq-e-taat hai tum se zahir ye be-usuli bahut buri hai tumhein na rakkhegi ye kahin ka