hawa-e-sham zara sa qayam hoga na

hawa-e-sham zara sa qayam hoga na
charagh-e-jaan ko jalaun kalam hoga na

bas ek baat hi puchhi bichhadne wale ne
kabhi kahin pe mile to salam hoga na

rukh-e-jamal pe shiknen hi jab saji hongi
to phir hamara rawayya bhi kham hoga na

teri bahisht mein hur-o-qusur honge magar
qarar-e-jaan ka bhi kuchh intizam hoga na

kabhi-kabhaar hi lekin pukarte hain tujhe
hamara chahne walon mein nam hoga na

agar main aadha-adhura hi laut aaun to
nigah-e-naz wahi ehtimam hoga na

bas ek bar mohabbat se dekhna hai idhar
batao tum se ye chhota sa kaam hoga na

charagh jalte rahen ya ki rakh ho jaen
tumhaare aatishin-rukh ko dawam hoga na


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close