hawa-e-tund ka jhonka udas kar dega

hawa-e-tund ka jhonka udas kar dega
badan se liptega aur be-libas kar dega

ajab hai shahr ka rasta ki jis ka or na chhor
ye rasta to mujhe bad-hawas kar dega

tu ajnabi hai bhare shahr mein na socha kar
ye tera tarz tujhe ru-shanas kar dega

zamana pahle milega to kaj-adai se
phir us ke baad koi iltimas kar dega

wo mere baad bade shauq se mujhe likh kar
kisi kitab ka ek iqtibas kar dega

us aaftab se kirnon ki bhik mat mango
hisar-e-zulmat-e-shab dil ke pas kar dega

mujhe na soch meri fikr chhod de 'paikar'
ki mera gham tujhe pahron udas kar dega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close