hawa ka jal bhala tut kar bikharta kya meri sada ka parinda udan bharta kya na dast-o-pa hi salamat rahe na sar baqi ab is se badh ke koi saneha guzarta kya ki us ne tar-e-takhatub ko na-gahan chheda ulajh ke rah gai aawaz sur ubharta kya bikharte tutte rishton ka sakht-jaan manzar bichhadte waqt main aankhon mein qaid karta kya laraz rahi thi andhere ki sidhiyan sari dayar-e-shab mein ujala koi utarta kya kanar-e-ab khada sochta raha 'shahzad' jo naqsh dub chuka tha wo phir ubharta kya