hawa ka shor to aaj aur bhi ziyaada hai

hawa ka shor to aaj aur bhi ziyaada hai
charaghan aankh mein kar lo agar irada hai

main rahguzar mein kahin par bikhar hi jaunga
ye meri ruh pe mitti ka ek labaada hai

bahut dinon ki masafat ke baad mujh pe khula
ki chal raha hun mein jis par ujad jada hai

ye tera zarf nahin tang-o-tar ghati nahin
ye mere dil ka hai rasta bhi aur kushada hai

use to kuchh nahin malum duniya-dari ka
mizaj ka tera 'ahmad' bhi kitna sada hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close