hawa ke dosh pe raqs-e-sahab jaisa tha tera wajud haqiqat mein khwab jaisa tha dam-e-widaa samundar bichha raha tha koi tamam-shahr hi chashm-e-pur-ab jaisa tha meri nigah mein rangon ki dhup chhanw si thi hujum-e-gul mein wo kya tha gulab jaisa tha hamari pyas ne wo bhi nazara dekh liya rawan-dawan koi dariya sarab jaisa tha jhuki nigah wo kam kam sukhan dam-e-iqrar wo harf harf tera intikhab jaisa tha mujhe to sair-e-jahan sair-e-bazgasht hui tera jahan dil-e-khana-kharab jaisa tha shikasta khwabon ke tukdon ko jodte the hum wo din ajib tha roz-e-hisab jaisa tha hamein baratne mein kuchh ehtiyat lazim thi dilon ka haal shikasta kitab jaisa tha main 'shaz' kya kahun kya raushni thi rahon mein wo aaftab na tha aaftab jaisa tha