hawa ke sath ye kaisa moamla hua hai bujha chuki thi jise wo diya jala hua hai huzur aap koi faisla karen to sahi hain sar jhuke hue darbar bhi laga hua hai khade hain samne kab se magar nahin padhte wo ek lafz jo diwar par likha hua hai hai kis ka aks jo dekha hai aaine se alag ye kaisa naqsh hai jo ruh par bana hua hai ye kis ka khwab hai tabir ke taaqub mein ye kaisa ashk hai jo khak mein mila hua hai ye kis ki yaad ki barish mein bhigta hai badan ye kaisa phul sar-e-shakh-e-jaan khila hua hai sitara tutte dekha to dar gai 'rahat' khabar na thi yahi taqdir mein likha hua hai