hawa ke war pe ab war karne wala hai charagh bujhne se inkar karne wala hai khuda kare ki tera azm barqarar rahe zamana rah mein diwar karne wala hai wahi dikhaega tujh ko tamam dagh tere jise tu aaina-bardar karne wala hai ye war to kabhi khali nahin gaya mera koi to us ko khabar-dar karne wala hai usi ne rang bhare hain tamam phulon mein wahi shajar ko samar-dar karne wala hai zamin bech ke khush ho rahe ho tum jis ko wo sare ganw ko bazar karne wala hai