hawa ki aankh mein kajal nahin hai diya ab ke koi ghayal nahin hai usi ko mangta hun har dua mein wo ladki jo mere qabil nahin hai khud apne aap ko mara hai main ne so mera koi bhi qatil nahin hai abuzar ki phati chadar hai duniya ye tera surmai aanchal nahin hai sakhi main tere jaisa to nahin hun so mera lams to sandal nahin hai