hawa ki halki si aahat pe yun machal jaana umid-e-wasl pe bismil ka phir sambhal jaana na aa rahe the na aana tha aur na imkan tha ye zoam-e-dil tha ya qismat ka yun badal jaana ye dil pe bojh hai dardon ka ya teri yaaden ya aablon ka hararat se hai pighal jaana teri talash mein uth uth ke pagalon ki tarah shab-e-firaq mein ghar se kahin nikal jaana ye jaante hain ki mumkin nahin tu laut aae shiar-e-dil hai teri yaad se bahal jaana teri umid ka jab sar se uth gaya aanchal to fasl-e-gul mein tha yaksar khizan mein dhal jaana abhi thi tere safine ki muntazir 'kausar' ajab laga tere sahil se yun phisal jaana