hawa ki zad pe to koi charagh rahne de

hawa ki zad pe to koi charagh rahne de
ye hauslon ki ladai hai is ko chalne de

na jaane kaun bhatakta hua chala aae
kiwad band kiya hai diya to jalne de

abhi to aur uthenge naqab chehron se
ye eqtidar ka suraj to aur dhalne de

ye koela se bana denge tujh ko ek hira
ye andarun mein hai jo aag is ko jalne de

koi to hai jo ye asrar kaenat mein hain
ye sab khulenge zara aur din nikalne de

'nadim' aaenge wo bandh ke kachche dhage se
is aarzu ko zara aur dil mein palne de


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close