hawa ko tham len KHushbu ka ehtimam karen

hawa ko tham len khushbu ka ehtimam karen
sanwar liya ho to hum chand se kalam karen

hum apne sog bhula ke unhen salami den
chalo ki hijr ke maron ka ehtiram karen

gulab-rut mein kisi chhat pe rang le ke chalen
junun mein bhigne walon ka intizam karen

purane beliyon se milte aaen ganw mein
gali mein baithe faqiron ko bhi salam karen

wo shakhs dost tha ab wo adu hua to kya
wo aa raha hai jo milne to ehtimam karen

tumhein ye chah ki ab long driwe pe niklen
hamein ye fikr ki daftar ka thoda kaam karen

hum apni rah se bhatke hue musafir hain
kinhen padi ki koi sham apne nam karen

bahut baras hue hain parwarish kiye dukh ki
chalo ki dard ki shiddat ka ehtimam karen


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close