hawa na-sazgar-e-gulsitan malum hoti hai

hawa na-sazgar-e-gulsitan malum hoti hai
agar hansti bhi hain kaliyan fughan malum hoti hain

khushi mein apni khush-bakhti kahan malum hoti hai
qafas mein ja ke qadr-e-ashiyan malum hoti hai

har ek ke zarf ki wusat yahan malum hoti hai
mohabbat aadmi ka imtihan malum hoti hai

kabhi shayad mohabbat ka koi hasil nikal aae
abhi to raegan hi raegan malum hoti hai

ye dil ko kar diya kaisa kisi ki kam-nigahi ne
zara si phans chubhti hai sinan malum hoti hai

khinch aati hain isi sahil pe khud do ajnabi maujen
mohabbat ek jazb-e-be-aman malum hoti hai

ufuq hi par abhi tak hain tasawwur ki hasin shamen
kahin thahri hui umr-e-rawan malum hoti hain

tum is haalat ko kya jaano na jaano hi to achchha hai
hansi jab aa ke honton par fughan malum hoti hai

teri be-mehriyan aakhir wo nazuk waqt le aaen
ki apnon ki mohabbat bhi garan malum hoti hai

nazar aata nahin shabnam ka girna phul ka khilna
mohabbat ki haqiqat na-gahan malum hoti hai

chaman ka dard hai jis dil mein to chahe kahin utthe
use apni hi shakh-e-ashiyan malum hoti hai

nazar phirti thi wo pahle bhi lekin yun na phirti thi
kuchh ab ki khatm hoti dastan malum hoti hai

abhi khakistar-e-'mulla' se uthta hai dhuan kuchh kuchh
kahin par koi chingari tapan malum hoti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close