hawa namnak hoti ja rahi hai

hawa namnak hoti ja rahi hai
haweli khak hoti ja rahi hai

daricha kholte hi tham gai hai
hawa chaalak hoti ja rahi hai

hamare hauslon ke aage mushkil
khas o khashak hoti ja rahi hai

lahu ke hath dhoe ja rahe hain
nadi napak hoti ja rahi hai

nai tahzib se ye nasl-e-nau ab
bahut bebak hoti ja rahi hai

samundar tham le maujon ko apni
zamin tairak hoti ja rahi hai

mohabbat nafraton ke bich pal kar
badi saffak hoti ja rahi hai

ba-faiz-e-shairi shahr-e-hunar mein
hamari dhak hoti ja rahi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close