hawa nasib banaya safar likha us ne tamam umr phirun dar-ba-dar likha us ne sulagti dhup ki manind zist di lekin na saeban na koi shajar likha us ne tamam shahr pe be-nam khauf tari hai ye jinn ka bhut ka kis ka asar likha us ne ye aur baat ki unwan bana diya mujh ko ghamon ke qisse ko ek ek satar likha us ne ab aae khauf sa ghar ke khayal se mujh ko ye kaisa dil mein sar-e-sham dar likha us ne