hawas-e-KHalwat-e-KHurshid-o-nishan aur sahi

hawas-e-khalwat-e-khurshid-o-nishan aur sahi
dur hai subh to ye khwab-e-giran aur sahi

kuchh shikasta sa hai rangini-o-nikhat ka tilism
yahi bedad-e-khizan hai to khizan aur sahi

marhale danish-e-hazir ke to sab khatm hue
ek qadam jaanib-e-aqlim-e-guman aur sahi

meri palken bhi giran-bar rahi hain ai dost
ab ye aansu tere daman pe giran aur sahi

jalwa-e-husn-e-butan se hai agar dil ka ziyan
ai khuda-wand mere dil ka ziyan aur sahi

sainkadon rukh hain mohabbat ki kahani ke 'rawish'
ek andaz-e-hadis-e-digran aur sahi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close