hawas gulzar ki misl-e-anadil hum bhi rakhte the kabhi tha shauq-e-gul hum ko kabhi dil hum bhi rakhte the qaza bhi tere hathon chahte the tujh ko kya kije nahin to tegh-e-dam ke sath qatil hum bhi rakhte the khata-e-ishq par hum par na itna bhi sitam dhao agar chaha to chaha kya hua dil hum bhi rakhte the khuda ko ilm hai zinda hai ya jal-bhun gaya shab ko dil apna tere parwanon mein shamil hum bhi rakhte the meri jaan-baziyon par gor mein rustam ye kahta hai na the aise jari go sher ka dil hum bhi rakhte the ilaqa ishq ka lete ye soche honge barbaadi wagarna naqd-e-jaan o sikka-e-dil hum bhi rakhte the khuda ke samne hogi jo pursish ishq-bazon ki kahenge hum bhi itna ishq-e-kaamil hum bhi rakhte the tamanna thi hamein bhi teri sohbat dekh lene ki ki parwane the shauq-o-zauq-e-mahfil hum bhi rakhte the bade uqda-kusha the tum to hal is ko bhi karna tha muhimm-e-ishq sar karne ki mushkil hum bhi rakhte the talash-e-yar mein khufiya gae ushshaq duniya se khabar bhi ki na hum ko shauq-e-manzil hum bhi rakhte the koi lahza judai mein tadapne se na fursat thi kabhi pahlu mein dil manind-e-bismil hum bhi rakhte the junun ka zor tha dil mein jagah kar li thi wahshat ne gharaz pesh-e-nazar laila o mahmil hum bhi rakhte the jagah dil ki tarah pahlu mein di hoti hamein tum ne liyaqat is sar-afraazi ke qabil hum bhi rakhte the use kyunkar na kahte hum ki yakta hai khudai mein shanasa the tamiz-e-haqq-o-baatil hum bhi rakhte the khuda ne jaan chhudwai 'sharaf' wo khud bigad baitha haqiqat mein ajab mashuq-e-jahil hum bhi rakhte the