hawas ki aankh mein jugnu machalne lagte hain nazar jhuka ke wo jab hath malne lagte hain zara si der mein shaklen badalne lagte hain hawa ke lams se baadal pighalne lagte hain hai lazmi koi tahrik zindagi ke liye pade pade miyan shahtir galne lagte hain purani barf ka main jab bhi zikr sunta hun na jaane panw mere kyon phisalne lagte hain nai rawish ye chali hai ki kat do bazu wagarna aastin mein sanp palne lagte hain main e'timad se chalta hun aasmanon par magar zamin pe mere panw jalne lagte hain