hawas ye rah gai dil mein ki muddaa na mila bahut jahan mein dhundha par aashna na mila hua hai kaun sa mashuq ba-wafa ai dil gila abas hai agar wo mila mila na mila ajib qismat-e-bad thi shab-e-firaq mein hum kamal dhundh phire khana-e-qaza na mila na de tu hath se hun zoaf se main rang-e-hina hawa-e-shauq-e-fana mein jahan uda na mila jawab degi bhala roz-e-baz-purs to kya uda uda ke hamein khak mein saba na mila wo kushta-e-nigah-e-qahr tha ki mahshar mein mere jalane ko ahkaam-e-dil-ruba na mila ghariq-e-bahr-e-sitam umr ki hui kashti bahut sa hum ne pukara pa na-khuda na mila kamal-o-aish-o-jawani-o-mulk-o-mal-o-tarab ye sab mile hamein par yar ba-wafa na mila ajib josh-e-junun mein hui thi pamali ki ek aabla tak dost-dar-e-pa na mila chubhe hazar tamanna se kyun na be-khatke ki khar ko koi hum sa barahna-pa na mila bahut si karte rahe bagh-e-dahr mein gul-gasht par apne bulbul-e-dil ko 'nasim' sa na mila