hayat-e-ishq ki khurshid-samani nahin jati mita jata hai dil zarron ki tabani nahin jati jo kal tak khel samjhe the hamein barbaad kar dena ab un maghrur nazron ki pashemani nahin jati hamin par lutf ki barish hai lekin wae-nadani hamin se wo nigah-e-lutf pahchani nahin jati watan kya jurat-e-ahl-e-junun se ho gaya khali khirad ki quwwat-e-tajdid-e-virani nahin jati bahaar aai khile ghunche magar ai nazim-e-gulshan hamare aashiyan ki shoala-samani nahin jati meri sahba ki azmat sirf ahl-e-dil samajhte hain piye jata hun lekin pak-damani nahin jati ye kis kafir-ada ka jalwa-e-masum dekha hai 'rais' ab tak meri nazron ki hairani nahin jati