hazrat-e-mir ke shagird hain ruhani hum

hazrat-e-mir ke shagird hain ruhani hum
sher takhliq kiya karte hain la-fani hum

hum jo dariya ke kinaron pe raha karte hain
ishq ki mauj mein bahte hain ba-asani hum

teri shadabi-e-khatir ki dua karte hain
jab bhi aanchal ko tere dekhte hain dhani hum

yani us aadmi se koi hamein matlab hai
baaten har ek se karte nahin la yani hum

waqt ke sath har ek chiz badal jati hai
pahle kahte the saraiki ko multani hum

aisa lagta hai ki sab apne siwa jahil hain
baat jab jaan liya karte hain anjaani hum

hum tere baal bikherenge khule sahil par
tere hisse ki tujhe denge pareshani hum

zindagi zakhm to degi kabhi yaron ko bhi
mutthiyan bhar ke karenge namak-afshani hum

hum se ladki koi ithla ke jo baaten kar le
use gudiya hi samajh lete hain japani hum

dekh aashiq hain tere bap ke naukar to nahin
jo tere husn ki karte rahen darbani hum

sab sitaron se nazar aaj bacha kar 'yawar'
chum aae hain koi chand si peshani hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close