hifazat gar nahin hoti imarat TuT jati hai

hifazat gar nahin hoti imarat tut jati hai
agar shisha shikasta ho to surat tut jati hai

tumhaari dil-nawazi ganw se jaane nahin deti
tumhaare aansuon se meri hijrat tut jati hai

tumhaara hath kandhe par ho to darbar chalta hai
hata lete ho jab tum hath himmat tut jati hai

ziyaada duriyan bhi fasle aksar badhati hain
bahut nazdik rahne se bhi ulfat tut jati hai

bichhad ke tum se jab jab bhi suni hai rail ki siti
mere dil par meri jaan par qayamat tut jati hai

tumhein nazdik bhi rakhna mere bas mein nahin hota
tumhein jab dur karta hun qarabat tut jati hai

bahut aasan tha pahle tawaf-e-kucha-e-jaanan
ki ab to bich raste mein masafat tut jati hai

bhale logon se baaten talkh lahje mein nahin karte
bhale logon ki bhi aksar sharafat tut jati hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close