hijab-e-jism-o-jaan mein husn-e-pinhan dekh lete hain

hijab-e-jism-o-jaan mein husn-e-pinhan dekh lete hain
nazar wale tumhein ta-had-e-imkan dekh lete hain

asir-e-zulf ho kar ru-e-jaanan dekh lete hain
sawad-e-kufr mein bhi nur-e-iman dekh lete hain

zamana mera hasil hai main hasil hun zamane ka
jo ahl-e-bazm hain mahfil ka saman dekh lete hain

hamare dubne ka waqia jab yaad aata hai
jo sahil par bhi hain sahil ka daman dekh lete hain

dil is par aarzu aasuda ho jata hai duniya se
kabhi gar manzar-e-gor-e-ghariban dekh lete hain

guzarte hain janab-e-shaikh jab mai-khana se ho kar
nahin kahte zaban se kuchh magar han dekh lete hain

tera hi jalwa go dair-o-haram donon mein hai lekin
jo ahl-e-dil hain farq-e-kufr-o-iman dekh lete hain

zamin se aasman se go kahin bijli gire lekin
asiran-e-qafas su-e-gulsitan dekh lete hain

pahunch jate hain hum 'afqar' wahan zauq-e-tabiat se
jo shayan-e-adab bazm-e-sukhan-dan dekh lete hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close